Kya namaz jute pahanke padi ja sakti hai?As Wahabi tells?
Country
Baroda - India
Answer
Namaz main Halat e sijdah main Zarori hay k pair k dauno angothay(toes) zameen per lagaay jaain.( ref: Ayat ullah Seestani(D.B),Tauzee hul masail maslah # 1049).
1] Kya mein Mustahib Namaz computer par kamm karty huey aada ki jaa sakti hai?
2] Kya mustahib namaz office kay lye tayar hony kay baad, qibley ka rukh kar kay isharun [signs] mein parhi jaa sakti hai?
3] Kya mustahib namaz signs mein kare ho kar, qibla rooh ho par parhi jaa sakti hai?
4] Kya yeh namaz ghar kay kaam karty huey parhi jaa sakti hai?
5] Kya mustahib namaz wadu kay begair parhi jaa sakti hai?
6] Kya jummah ki namaz mein yeh amal sahi hai kay hum Jummah ki niyat Qurbatanillah ki niyat say parhein aur Zohr ahetiyat Qurbatanillah ki niyat sey parhein? Zara isski wazahat karein kyun kay mujhe pata hai kay Jummah ki tamam sharait hon tu zohr nahi parhi jaati. Bas sirf iss amal kay baare mein jaana hai kay yeh sahi hai nahi.